Thursday, 31 January 2013

Advice Poetry


Advice Poetry
By: Muhammad Sajjad Khan

Suno!!!!.
Pathr Nai Hona!!!!
Hwa Ki Jo B Mrzi Ho
Muqadar Jo B Kuch Chahy
Zmeen Pe Char Su Ranj-O-Alm Ki Barshen Brsen,
Tmhary Lab Pe Bikhry Sary Naghmy Nohey Bn Jayen,
Safr Ki Dhool Bn Jayen,
Koi Taara Na Jugnu Ho Andhera He Andhera Ho,
Sbi Sapny Bikhr Jayen,
Sbi Lehjy Badl Jayen,
Meri Yadon Sy Ik Pal B Kbi Ghafil Nai Hoña,
Suno Pthr Nai Hona!!!!
Suno Pthr Nai Hona!!!!.

Advice Poetry


Advice Poetry
By: Muhammad Sajjad Khan


Suno!!! Ae Chand C Larki 
Abhi Tum Titlyan Pakro 

Ya Phir Maasoom C Ankhon Say 
Dhairon Khawab Dekho Tum 
Faraz-O-Faiz O Mohsin Ki 
Kitaabyn Mt Abhi Parhna 

Ye Sab Lafzon K Shaair Hain 
Tumhain Uljha K Rakh Dayn Gay 
 
Tumhain Maloom Hi Kab Hai 
Muhabbat K Libaaday Mai 
Hawas Aur Hirs Hoti Hai 

Wo Wehshi Jin Ki Ankhon Me 
Machaltay Piaar K Peechay 
Hawas Aur Hirs Hoti Hai

Shikwa Ghazal


Sad Poetry
By:Muhammad Sajjad Khan

Mana K Tere Dil Main Koi Or Makeen Hay


Tu Phr B Mera Gham Hy Aqida Hy Yaqeen Hay


Ye Aainey Tujhko Teri Khaber Dy Na Payen Gey


Aa Dekh Meri Aankh Sy Tu Kitna Haseen Hay


Main Jaber K Sajdoon Sy Kahin Toot Na Jaon


Pather K Khudao Meri Sheeshey Ki Jabeen Hay


Palko Se Trasha Tha Kbhi Hum Ny Jo Heera


Mat Poch Ab Wo Kis Ki Anguthi Ka Nageen Hay


Maana K Tery Dil Main Koi Or Makeen Hay

Tu Phir B Mera Gham Hay Aqeeda Hay Yaqeen Hay

Emotional Poetry


Hamen Tum Bhool Jao Gy Maloom Hy Lekin,

By: Muhammad Sajjad Khan

 

 

Hamen Tum Bhool Jao gy Maloom Hy Lekin

 

Palat Kar Jab Bhi Aao gy Mohabbat Muntazir Hogi,

 

Kabi Bhooly Se Hi Mujh Ko Agar Tum Yaad Kar Betho,

 

Meri Tasbeeh Tilawat Or Ibadat Muntazir Hogi,

 

Falak K Paar Ja Utro Samandar Paar Ja Thehro,

 

Kisi K Dasht-e-Chahat ki Imamat Muntazir Hogi,

 

Hamari Aarzoo Jo Hy Tumhari Dastras Me Hy,

 

Milo Na Tum Milo Lekin Mohabbat Muntazir Hogi.


Romentic Poetry

Tum,TUM se HUM bn jao gy
By: Muhammad Sajjad Khan


Jab raat ky tanha daman mein
Tum chand ko madham pao gay

Jab khud sy batain karty karty
Tum door kahin kho jao gay

Jab dil ki baat chupanay ko
Tum hum sy nazar churao gay

Hum tum sy muhabat krtay hain
Her baar ye kehna chaho gay

In sab lamhon mein jaan lena
Tum,TUM se HUM bn jao gy

Sad Poetry



Abi Kal Ki Baat Hy
By: Muhammad Sajjad Khan

Abi Kal Ki Baat Hy
Kitna Tha Hum Se Pyar

Abi Kal Ki Bat Hy
Khwab o Khyal Me B

Na Tha Khizan Ka Gumaan
Aai Thi Ek Bahaar

Abi Kal Ki Baat Hy
Ek Be-kasi Me Koi

Ab Pochta Nahi
Kitna Tha Soog-war

Abi Kal Ki Baat Hy
Majboor Hon

Bhula Nahi Skta Teri Yaad
Tha DIL Py Kitna Ikhtiyar

Abi Kal Ki Baat Hy
Ab Baat Tak Krna

Gawara Nahi Krty
Jo Krty Thy jan Nisar
Abi Kal Ki Baat Hy

Wednesday, 30 January 2013

Sad Peotry


Sad Peotry
By: Muhammad Sajjad Khan 



Aaj kuch waqt k liye paas mere

"kaash tum aajate"

Boht tanha hoon main aaj

"kaash tum aajate"

Kabhi khud ko itna kamzor na hone diya meine

Per aaj bikhar gaye hain hum

"kaash tum aajate"

Tum hi se milta hai hosla har pal mujhe

Chahiye aaj bahon ka sahara

"kaash tum aajate"

Barson se jee rahe hain bin tere

Aaj nahi guzar raha ek bhi pal

"Kaash tum aajate"

Waqt ki raftaar bhi jaise tham si gayi hai

Tham na jaye meri saans

"Kaash tum aajate"